Wednesday, February 25, 2009

Blogger Blogger

Bade dino se kuch likha nahi
Funny ya emotional kuch soojha nahi
Phir socha itna sochke kab kuch kiya
Likh diya soche bina man me jo aa gaya

Phir palat ke betuke shabd dhoonde
Rhyme kar jaaye aise kuch words dhoondhe
Sense bhi hona chahiye ya nahi
But..Aaj tak kabhi kiya hai kuch sensible ya sahi

Yuhi soch me phir phirki maari
Kisi aur ki phirki se nazare churai
Aankhein mili dil na mil jaye
Do pal me paraya koi apna na ho jaye

Naina milenge phir baatein bhi hogi
Thandi aahe bhare mulaakaate bhi hogi
Har baat uski dil chune lage tadpaane lage
Isshare saare dil phir pehchaanane lage

Mummy se milao daddy se milao
Khandan ko chhod kabhi hume bhi dekh lo
Shopping me diwala nikla hai yaaro
Use chahiye bas Gucci, puchi and PRADO

Pyaar ke raag pakda dil hua bepeer
Uske pyaar me bhaiya hum ho gaye fakeer
Jakda hai humko are kaisi ye zanjeer
Dil roye haaye usko diya cheer cheer

Emotional melodrama se reality me jaate hai
Blogging ke is bhoot ko hum aaj agnipath chalvaate hai
Dil ki bhadaas nikalne ka ek acha option paaya hai
Shayar, kavi ya lekhak is out ab blogger hum kehlaate hai
Ab blogger hum kehlaate hai !!